Forever living ka gel hi kyu le
FOREVER LIVING KA HI ALOEVERA KYUN?
Forever living products aloevera se suru karta hai aur fir alag alag mixrano me unke upyog me sahyog ke liye dusri samaano me milaata hai. Dusre shabdo me kaha jaae to FLP ke adhiktar utpaado(Products) me pehle sthaan par 100% sthir(Stabilized) aloevera jel hote hai.
Niche kuch aise kaaran bataye gaye hai jo bataata hai FLP aloevera utpaadak hi sabse jaada prabhaawsali kyu hai ki usse aap kisi bhi kimat par kharid sakte hai.
1. FLP ke mexico stith dakshini teksus ki upjaau riyo graand aur dominacan republic me apna khet hai. Iski ugne ke har prakriya ka dekhbhaal bisheshagyo(Experts) aur dekhbhaal karne waalo ke dwaara ki jati hai.
Aloevera ke 400 prajaati hone ke baawjut FLP kewal barbadensis hi ugaati hai. 100% sampurna jel ki chhamta pradaan karne waali aloevera paudhe hi kewal upyog kiye jaate hai. FLP ka stabilized aloevera hi sabse behtar hai, ise is tarah banaane ke lie FLP aloevera ki puri prakriya ko niche se upar mila rakha hai. Iska matlab FLP khet se karkhaane tak sudh, bikas, packing, shiping aur bitran sab niyantran(Control) me rakhta hai.Isme FLP utpaado ki gunwantaa ki guarantee karoro upbhoktao(Customers) aur FBO ko de sakte hai, jo swaasth aur jivika ke upar nirbhar hai.
2. Kewal paripakwa aloevera paudhe jo 100% jel shakti uplabdh karaa sake hi kaate aur upyog kiye jaate hai.
Aadhunik kataai taknik pure krishi pranaali me apnaai jaati hai, aur kisi bhi charan me kitnaasak istemaal nahi kiye jaate hai. Har aloevera paudha shoot ya pup ke roop me aarambh hota hai. Lagbhag teen saalo ki sakraktaa purwak kheti ke baad har paripakwa aloevera patti komalta se paudho se nikaal li jaati hai. Iske lie hatho se dantal par ek chiraa lagaaya jaata hai. Taaki jel fresh aur sudh roop me banaa rahe.
3. FLP me patte todne ke kuch hi ghanto me prakriya kar li jaati hai. Inhe saawdhanipurwak(Carefully) kaatne ke baad do baar dhoya jaata hai. Kaatne ke minto baad hi kaccha jel ek pramaanit patented prakriya se stabilized kia jaata hai.
Isse paudho ke alaga alag 75 poshak tatwa saare hi parichit ho jaate hai. Katayi ke samay se puri stabilized prakriya ke dauraan jel ko professional tarike se senitaized kiya jata hai. Saari machine aur building saaf aur senitized hoti hai. Isse gunwantapurn utpaad milta hai. Kewal sudh aloevera jel hi istemaal ki jaati hai.
Baahri patti ke saath pili si layning ( jise aloein kaha jaata hai) waali patti ko nikaal di jaati hai. Kacche jel ka pulp stabilized ki prakriya ke lie jata hai. Ye ise oxidation se bachaata ha, aur iski prakritik shakti ko isi me seal karta hai, (oxidation ka matlab hawaa ke sampark me aana). Ye pulp utpaado ke asar me laabhkari karta hai.
4. Subidhaaye, machini, janch upkaran aadi kathor sarkaari niyamo ke tahat aata hai, jaha nirmit har utpaad ka har batch bazar me bhejne se purwa sankraman aadi se bachaaw ke lie kayi baar quality control dwaara final formulation se pehle, dauraan aur baad me test kiye jaate hai taaki inki suddhata(Purity) aur samnarup nischit kiya ja sake.
Ek baar aloevera gel ki jaanch ho jaae aur anumodan ho jae to ye FLP ke product manufacturing plant aloevera of america dailas , taiksas me le jaayi jaati hai. Jaha ek series me microbioligical aur quantitative test kie jate hai.
5. Ek baar anumodan hone ke baad jel hamaare products formulation tank me daal diye jaate hai. Milaane ka kaam pura hone ke baad utpaad hamaare swacchalit filing line me laye jaate hai. Upbhog ke lie laaye gaye utpaad seal kie jaate hai. Taaki milawat se bachaaye aur lambe samay tak rakhe ja sake. Bottles anupam trike se teen parto ki plastic se banaai jaati hai, jo utpaado ko oxidation se bachaane ke saath inhe fresh banaaye rakhti hai. FLP ka kraantikaari batling upkaran ek sift me 100000 bottle ban sakta hai. Matlab har second teen bottle se jaada aloevera jel bharna, seal karna aur pack karna. Hai na ashcharyajanak......
6. Gunwanta aur consistency nishchit karne ke lie gunwanta niyantran technician bottle ko bharne ke puri prakriya ke dauraan niymit antraal par jaanch karte hai hai. Uske baad bottel ko batch number aur expiry di jaati hai. Iski lie adhunik ink jet coder upyog me lie jaate hai. FLP apna khud ka stabilizing aur formulation karti hai. Islie utpaadak samay ke aadhar par nirmit kiye jaate hai. Ham saal me ek ya do baar bade se batch ka order kar isse puraana hone nahi dete rehte hai. Aap nischint reh sakte hai har order par fresh utpaad paane ke baare me.
7. AVA(Aloe vera of america) har mahine hazaaro contenar pure sansaar me bhejte hai. Waastaw me ye sanjukt raajya america ke dakchhin me sabse bade niryatko me se ek hai. Jo contenar pure sansaar ke 155 se jaada desho me bheje jaate hai, sansaar ka sabse badhiya prakartik swaasth utpaad.
8. PRAMAANIT NATIJE:- Newyork ki food aur drug testing laboratory ne swatantra roop se forever living ke stabilized jel ki kacchi paripakwa aloe barbadensis patti ki jel se tulna ki, inhone dono me ek jaisa paaya dusre shabdo me apke bottles me jo milta hai wo agar patti ko sahi trike se (bina kharab kiye) kaatkar nikaalo to waisa hi hoga.
Forever living production ki aloevera jel ko International Aloe Science Council ne seal of approval ka certificate diya hai. Forever living ko adhikaar hai council ka seal of approval apne jel pe darshaane ka. Karoro log forever living ke aloevera products ko positive natije ke saath istemaal kar chuke hai.
(Kisi bhi tarah ka koi bhi sawaal puchana ho ya koi bhi jaankaari chahiye to aap kavi bhi comment karke, Mail karke, Sms karke, call karke, whatsapp ke jariye ya kisi aur tarike se kabhi bhi puch sakte hai. Mujhe aapki madad karke bahut khusi hogi.
Comments
Post a Comment