Introduction of foreverlivingproduct

 Forever living products ki kahaani ek insaan aur uske khwaab se suru hui thi jo dhund rahe the ek aisa byapaar(Business) karne ka tarika jisse unki jindagi ka do maksad ek sath pura ho jaae- pehla logo ko accha swaasth mile aur dusra logo ko paise kamaane ki ajaadi mile. 1978 me unhe wo mila jinki unhe talaash thi. Aur 1978 me unhone FOREVER LIVING PRODUCTS ki pehli baithak ke liye 43 logo ko aamantrit(Invite) kia. Is ek maatra ghatna se ek aise safar ka suruwat hua jo byapaarik safalta ke abishwasniya mukaamo tak pahuch gaya. FLP ek admi ke khwaab se lakho logo ke khwaab me bohot teji se tabdil ho gaya. FLP(FOREVER LIVING PRODUCTS) ke utpaado(Products) ki chhamta aur byaaparik plan ki saadgi ka matlab har us insaan se tha jo apne jiwan ki quality ko behtar banana chahta hai. Kai logo ne behtar swaasth dene wale utpaado ki talaash me graahak ke taur pe suruwaat ki aur tarraki karte hue FLP ke santusht graahak se safal byawasaayi(Businessman) ban gaye. Baakiyo ne byawasaay ke chhamtaao ko turant pehchana aur safal sanghatan banana suru kar diya. Isme shamil hone ka koi bhi kaaran raha ho parinaam to samaan hi tha, wo safal hote gaye, aur dusro ko jada swasth aur jada dhanwaan banne me madad karte rahe. Aaj 37 salo baad FLP ke dunia bhar me 2015 tak 155 se bhi jada desho me 10 millions se bhi adhik swatantra byawasayi (Independent businessmen) hai.FLP aur uske affiliates ke aloevera ke apne khet hai aur ugaane ki prakariya ke badhane ke samay se lekar aloevera paudho ke saawdhanipurwak aur hatho se kaate jaane tak ke har charan ki nigraani bisheshgyo(Experts) aur dekhbhal karne waale logo dwaara ki jaati hai. Ugaane se lekar nirmaan aur utpaado ke bitran tak ki har prakariya FLP dwaara sidhe ki jaati hai. FLP apne utpaadan ke lie apne siwa kisi aur par bharosha nahi karti hai.FLP ki ek sahaayak company aloevera ki pattiyo se jel nikaal kar sthir(Stabilized) karti hai aur utapaadk banaati hai. Taaki wo samay par taiyaar kie jaa sake. Jab ki dusre utpaadko ko dusre aloevera ugaane walo par nirbhar rehna padta hai. Haal hi me FLP ne behtrin sroto(Sources) se madhu uplabdh karaaya hai jo itne behtrin hai ki usse aap tak pahuchana hi tha. Iska utpaadan spain ke uchi pahaadiyo par pradushit rahit waatawaran me madhupaalak bisheshgyo dwaara pidi dar pidi kiya jaata raha hai.FLP aur uske affiliates dunia bhar ke sabse bade nirmata aur bitrak hai jo apne graahko ko DRINKS, NUTRITIONAL SUPPLLEMENTS, BEE PRODUCTS, PERSONAL CARE, WEIGHT MANAGEMENT ke sahit aloevera ke prakartik pe adhaarit utpaado ki verity pradaan karte hai. FLP ke poshak utpaad uttam quality ke hote hai aur aadhunik taknik ka upyog karke chuninda saamagriyo dwaara utpaadit kie jaate hai. Taaki ye sunkshit(Confirm) ho sake ki manusyo(Humans) ke lie har roj awashyak sabhi vitamins, minerals aur dusre poshak tatwa unko mile. Yaha tak ki personal care products me bhi graahko ko hamaare utpaad kharidne ke lie lalchaane ke khaatir utpaado me aloevera ke kuch bund milaane ke wajaay FLP usme sthir(stabilized) aloevera ke sath suruwaat karte hai aur personal care products taiyaar karne ke lie aawasyak saamagriyo ka pariyaapt maatra me daalte hai. Dusre shabdo me kaha jaata hai ki pehle sthaan me 100% sthir(stabilized) aloevera gel hota hai. FLP kaa maanna hai ki quality me kabhi samjhauta nahi karna chahiye. Warso se FLP ne umdaa swaad aur poshan se bharpur madhu uplabdh karaaye hai. Iss adbhut swaadisht madhu ka utpaadan uss wakt kia jata hai jab pahaad phulo se lad jaata hai aur mausam khusk hota hai, is tarah banaaya gaya madhu chhatte me dhire dhire panapta hai. Jiske kaaran usme kaafi adhik maatra me enzymes aur khanij padhaarth hota hai, sansaar ke sabhi madhu utpaado se adhik. FLP ke nai pahaadi ke madhu ka rang khanij ke adhikttam maatraa hone ke wajah se gehra bhura hai, isme me phulo ki prabal khushbu bhi hai.FLP aur uske utpaad IASC(International Aloe Science Council) certification, KESHOR aur ISLAMIC SEAL se certified hai. FLP IASC ke uchh maanko ko pura karne waali pehli company me se ek hai, jiski wajah se ye apne utpaad me IASC ka seal lagaati hai. Iske alaawa FLP ko KESHOR ki rating se bhi nawaaja gaya hai jo dunia bhar me suddhata aur gunwanta ke atit maanko ko pura karne pe di jaati hai. Iske alaawa isko ISLAMIC SOCIETY OF CALIFORNIA se bhi certification mila hua hai jo ucch maanko ko pramaanit karta hai aur utpaadan aur packaging ki sabhi awasthaawo me safaai aur suddhata par diye jaane waale dhyaan ke baare me bataata hai.

Comments

Popular posts from this blog

Offices & timing schedule

How to be joined

I say something?