Legly approval
FOREVER LIVING PRODUCTS KA ACCREDITATION.
FLP ne national aur international sansthaao se alag alag tarah ke certificate aur accreditation paye hai, aur isne FLP ke iss bishwaash me atmabishwash ko badhaya hai ki FLP lagatar apne utpaado(Products) me gunwata ke manako ko badhaye hue hai.
INTERNATIONAL ALOE SCIENCE COUNCIL KI SEAL OF APPROVAL-
International aloe science council 1981 me ek sanghatan me suru hui. Iska nirmaan aloevera uddhog ko anuchit spardha aur anaawashyak biniyamno se bachane ke liye kiya gaya. IASC council ek swatantra(Independent) niyamak sanstha ke rup me gathan kiya gaya. Iska kharcha aloevera utpaadak jo iske sadasya bane hai uski sadasyata se milne wali fees se chalta hai. Ye ek non profit sanghatan hai jo aloevera uddhog ki sewa ke liye samarpit hai.
Ek code of athics manjur kiya gaya aur inspection aur testing ke liye ek program tay kiya gaya. Ek swatantra laboratory chuni gayi aloevera utpaado ki suddhata aur shakti ka inspection aur testing ke liye. Wo company jinke utpaadak IASC ke tay kiye gaye maanako ke anusaar ho unhe certificate diya jaata hai aur anumati di jaati hai ki wo international aloe science ki seal of approval apne utpaado par darsha sakte hai. Ye bibechnatmak testing program 1985 me suru kiya gaya.
FLP aur aloevera of america jante the ki inke utpaado ki gunwanta utkrist hai isliye unhone khud apne utpaado ki testing ki prathna ki. Pehli testing aloevera jel, aloevera juice, nectar par ki gayi. Ye tino FLP ke pey bibhag me aate hai. 1986 ke suru me FLP ke aloevera gel, juice aur nectar pehli baar naa sirf international aloe science ke uch maanko ke anusaar balki usse bhi behtar ghosit kiya gaya, sath hi anumati di gayi ki wo apne utpaado pe seal of approval darsha sakte hai.
Aaj FLP ke adhikansh utpaado ko seal of approval mili hui hai kyunki hamesha se FLP ka lakshya raha hai aloevera uddhog me hamesha sabse aage rehne aur dunia ko aloevera ke gunwanta waale utpaad pradaan karne ka.
ISLAMIC SOCIETY OF CALIFORNIA-
FLP ke suchi me ek aur certificate hai " The islamic society of california" unhone FLP ke kuch utpaad test kiye aur pramaanit kiya ki wo savi utpaad gunwanta ki jarurat ko pura karte hai aur samaaj me swikaar karne laayak hai. Iss certificate ke liye kaafi ucch maanak rakhe gaye hai aur ye FLP ke nirmaan aur packing ke savi charno ke dauraan safaai aur suddhata par dhyan dena darshate hai. Wartmaan me FLP ke jadaatar utpaado ko ye certificate mila hua hai. Ye certificate ek awdhi ke baad fir se naya karwaan padta hai aur FLP ko lagaatar yahi certificate milta raha hai.
PASHUO(ANIMALS) PAR TEST NAHI-
Jadatar cosmetics company apne saundarya kaa raaj apko nahi bataayenge . Sach ye hai ki saare pashu jinpar testing ki jaati hai wo us dauraan pure hosh me hote hai. Inhe behosh karne ke liye anesthetic istemaal nahi kiya jata hai. Shampo, Perfume, lotions aadi ki dardnaak testing inpar ki jaati hai. Toothpaste, lipstick aur mouthwash lambe samay ke testing tak inhe jabrdasti diya jaata hai. In testing se jo pashu bach jaate hai unhe aakhir me maar diya jaata hai.
FOREVER LIVING PTODUCTS hinsaamukt jivan me bishwash karta hai aur isliye aise utpaad(Products) nirmaan karte hai jinka pashuo par testing nahi kiya jaata hai.
KOSHER RATING-
FLP ek international company hai. Iske utpaad dunia alag alag hisso me pahuchte hai aur alag alag tarah ke logo ki jarurat puri karte hai. FLP ke kuch utpaad jaise aloevera jel ki bottles par ek chhota (K) dekha ja sakta hai.
Ye "KOSHER" rating ks pratik hai. Ye unn utpaado ko diya jata hai jo suddhata aur guwanta ke behad kade maanko par khade utarte hai. Ye important rating paane ke liye raibaai certified laboratory me maujud rehta hai aur plant ka chalna, formula, puri prakriya aur ghatko ki baariko se jaanch karta hai. Jab ye sthaapit ho jata hai ki har chij ucch maanko ke anurup hai kewal tavi rating aabantit ki jaati hai. Kosher rating ke utpaad sarwotkrist gunwanta ke samjhe jaate hai.
FLP ke utpaad KOSHER RATING se pramanit hai aur ye pratik ek aur aaswasan ki FLP ke utpaad sansaar me behtarin hai.
"ek yahudi dharmim neta ko "RAIBAAI" kahte hai."
CRESCENT M HALAL CERTIFICATION-
Forever living aur aloevera of america ko islamic food and nutrition council of america dwaara apne "HALAL" certified utpaado(Products) ko bechne ki anumati hai. HALAL ke niyamo ke anusaar, jiska arbi bhaasha me matlab hota hai "VAIDH" ya "SWIKAARYA", kisi utpaado ko inke dwaara certified hone ke liye unn utpaado me alcohol aur anya sandehaspat pashu utpatti Saamgriyo ka na hona saabit hona chahiye.
The ISLAMIC FOOD AND NUTRITION COUNCIL OF AMERICA ek non profit islamic sanstha hai jo halal khaad padharth aur halal sanstha ke prachaar me tatpar hai. Crescent "m" jo IAFANCA ka nisaan hai jo sansaar ke hazaaro utpaado me dekhaa ja sakta hai. Iske alawa IAFANCA america aur pure sansaar ke aneko islaamic kendro aur islamic sansthaao ke sath najdiki kaaryakari sambandh banaye rakhti hai. "CRESCENT M HALAL certificate FLP ke certifications ke suchi me ek mahtwapurna(Important) briddhi hai.
Comments
Post a Comment