Manufacturing process of aloe

GHAR ME UGAAYE GAYE AUR JAIWIK ROOP SE UGAAYE GAYE ALOEVERA JEL

Ghar ki khidkiyo par gamle me laga ya ghar ke pichawade me aloevera ugaa dikhna bohot hi aam baat hai.


Ghar me aloevera ka paudha hona bohot accha hai kyunki yeh andhere me co2 ko sokhne aur o2 chhodne wale gine chune paudho me se ek hai. Jisse ise apne bedroom me lagaana ekdum uchit hai ( aam taur par paudhe raat me co2 chhodte hai) .

Aloevera ke paudhe me paryawaran se bishaile tatwo ko sokhne, apke ghar me aane wali hawa me se carbon mono oxide nitrus gais jaise bishaile tatwo aur waatawaran ke pradushako ko hatakar saaf karne ka behtarin gunn bhi hai. Jab wo aisa karta hai to paryawaran ke jin bishale tatwo ko isne sokha unhe kaha sangrahit kiya jata hai?
Bohot se log badi shan se kehte hai ki we apne aloevera paudhe ko jaante hai aur roj subah pine ke lie ise taaja taaja kaatte hai. Ye bohot aam dhaarna hai ki apko ghar ke pichawade ya khidki par ugaaye gaye paudhe khaane ke laayak hote hai, lekin aisa karke ye log shaayad paryawaran ke jehrile tatwo ko sidhe grahan kar rahe hai.
Agar aap aloevera istemaal karna shuru karne wale hai to pehle samajh lijiye ki utpaado ke liye upyog kiye gaye paudhe led mukt, pardushan mukt paryawaran me ugaaye gaye ho,



aur unhe ugaate samay nuksandaayak rasaaynik kitnaasko ka upyog na kiya gaya ho, sath hi ye bhi samajh le ki aap jo aloevera istemaal karte hai wo aloevera ke teen mukhya aushadhiya prakaaro me se ek ho aur upyog ke liye uski pattiya katne se kam se kam 3 saal pehle ugaaya hai.

Comments

Popular posts from this blog

Offices & timing schedule

How to be joined

I say something?